10/02/2015
By Shri shri shri Mayank Agarwal ji
The best lines ever read..
Yaad aate hai tum logo k saath bitaaye vo 15 din,
Ab mann nhi lagta GMCS classes k bin..
Vo pehle din ki ghabrahat,
Jab dil me thi halki si aahat..
Kuch 50 anjaan logo se bhara ek chota sa room,
Hume na pata tha waha machne wali thi aisi dhoom..
7 logo ko jaankar shuruat hui thi is safar ki,
Is par chalte chalte na duniya ki sudh rahi na hi pahar ki..
Yaad ata hai mamata di ka cholbe na cholbe na ka naara,
Badalte naamo se pareshaan ruchira bechari or sanjeet bechara..
Bol bol kar kitno ko pareshan payel aur harpreet kar gaye,
Aur kuch log bina bole bhi bhut kuch keh gaye..
Kisiko yaha apna pyaar mil gaya,
To kisiko yaha apne pyaar k saath waqt mil gaya..
Kuch mujh jaise bhi the jo sirf dekhte reh gaye,
Aur billiyon ki ladai me bandar roti le gaye..:P
Kabhi last bench pe baithkar bhi class enjoy kar gaye,
Kabhi first bench pe baithe baithe kharate bhar kar so gaye..
Yaad aata hai ab bhai ka style se "dont take me otherwise" bolna,
Aur tharki venu ka papa ranjeet ki style me "aaauuuuu" karna..
Scavenger ka extra lunch box maarna,
Sanjeet ka sabko chocolate khilana..
Nirma group ki unity bhi badi kamaal hai,
Sacchi dosti aur pyaar ki jeeti jaagti misaal hai..
Famous mantri aur neel ne watsapp grp aur page bana dala,
Sabko GMCS k baad bhi touch me rehne ka ek zariya de dala..
Kriti ki kavitaaye ke to kya kehne,
Har presentation ko nikharti thi jaise dulhan ko nikhaare gehne..
Sweta aur uske papa malaysia me kamaal kar gaye,
To ulala group me mundhra n co sabko hasa kar halaal kar gaye..
Payel aur mundhra ka ship to bann nhi paaya,
Par uske nirmaan ki koshish ne audience ko khoob hasaaya..
Ye sab yaad karke bas itna hi hai ab mera kehna,
Chahe zindagi hume kahi bhi le jaaye, is grp ko koi kabhi alvida na kehna..😊